Saturday, 30 April 2011

My College Canteen


Jaise he humne college me parvesh paya or kuch waqt yaha bitaya humare pass bhi kuch chehre aane lage hume canteen ke pass bulane lage tabhi humare kareeb ek ladki aayi or kehne lagi chaliye Deepak samose khate hi maine kaha thik hi aaj kaa bill humi katate hi. Dosto ye to samoso ki suruaat thi agale din uski char saheliya or saath thi unhone bhi bade pyar se haath badhaya humne bhi impression jamane kaa acha mauka paya humne unhe bhi bitha ke samose khilaye ye to kismet achi thi ki jeb me pure paise nikal aaye. Magar ab ye samose mujhe musibat nazar aane lage hum canteen se nazare bachane lage magar koi naa koi mujhe dekh leta tha kai baar to in ladkiyo ko me samose khan eke liye cash deta tha. Tabhi ek senior ko mujhpe tras aaya wo khud he chalke mere pass aaya or kehne laga jab humara is college me pratham varsh tha hume bhi bada harsh tha hum bhi hum bhi in hasinao ko bitha ke samose khilate the kai baar to paise bhi udhar mang ke laya karte the magar dekhlo aaj mera kya haal hi B.A. me bhi mera chata saal hi or agar tum bhi in ladkiyo ko is tarha betha ke samose khilaoge to beta tum to first year me he senior ban jaoge or ek din to in ladkiyo ne bahut bada jaal feka tha ek ladki se friendship ke bahane mujhe lapeta tha or us ladki ne samose khake inkaar kya tha or us din college ki fees me se maine canteen kaa bill diya tha. Uski ye baat sunke kuch to meri samajh me aaya lekin tabhi mere haath me ek ladki ne samosa thamaya or kehne lagi ki Deepak aaj tu canteen kyu nahi aaya maine kaha kyu aaj koi naya murga nahi fasaya tumhare haath se samosa jaroor khaunga lekin yaad rakho aaj ke baad canteen kaa bill me nahi kataunga.

No comments:

Post a Comment